Amu Tarana Lyrics |
---|
Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul huṅ Sarshaar-e-nigaah-e-nargis huṅ, paabasta-e-gesoo-e Sumbul huṅ Ye mera chaman, ye mera chaman, Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul huṅ! Jo taaq-e-haram mein roshan hai woh shama yahan bhi jalti hai, Iss dasht ke goshey goshey se ik jooy-e-hayat ubalti hai Ye dasht-e-junuṅ deewanoṅ ka, ye bazm-e-wafaa parwanoṅ ki Ye shehr-e-tarab roomanoṅ ka, ye khuld-e-bareeṅ armaanoṅ ki Fitrat ne sikhayee hai humko uftaad yahaṅ parwaaz yahaṅ Gaaye haiṅ wafaa ke geet yahaṅ, chheda hai junuṅ ka saaz yahaṅ Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka Bulbul huṅ! Iss bazm mein tegheiṅ khiṅchiṅ hain, is bazm mein saaḡar todey haiṅ Iss bazm mein aankh bichhaayee hai, iss bazm mein dil tak jodey haiṅ Har sham hai shaam-e-Misr yahaṅ, har shab hai shab-e Shiraz yahaṅ Hai saarey jahaṅ ka soz yahaṅ aur saarey jahaṅ ka saaz yahaṅ Zarraat ka bosa lene ko sau baar jhuka aakaash yahaṅ Khud aaṅkh se hamne dekhi hai baatil ki shikast-e-faash yahaṅ Ye mera chaman hai mera chaman, main apne chaman ka bulbul huṅ! Jo abr yahaṅ se utthega, wo sarey jahaṅ par barsega Har jooy-e-rawaaṅ par barsega, har koh-e-garaaṅ par barsega Har sarw-o-saman par barsega, har dasht-o-daman par barsega Khud apne chaman par barsega, gairoṅ ke chaman par barsega Har shahr-e-tarab par garjega, har qasr-e-tarab par kadkega Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Ye abr hamesha barsa hai, ye abr hamesha barsega Barsega, barsega, barsega! |
