Advertisement
بسی ہے جب سے تصویر یار آنکھوں میں
سمٹ سی آئی ہے فصل بہار آنکھوں میں

زمین طیبہ کی مٹی بنے میرا سرمہ
رہے ہمیشہ نبی کا دیار آنکھوں میں
Basi Hai Jab Se Woh Tasveer-E-Yaar Aankhon Me
Simat Si Aai Hai Fasle Bahar Aankhon Me

Zameen-E-Taiba Ki Mitti Bane Mera Surma
Rahe Hamesha Nabi Ka Dayaar Aankhon Me

Meri Nigahein Sare Arsh Ja Ke Thahrengi
Maloo(N) Jo Naal-e-Nabi Bar Bar Aankhon Me

Wah La-maka(N) Me Musafir Bane Shabe Asra
Khuda Ke Jalwe Samaye Hazar Aankhon Me

Ey Haajio Zara Rukna Mein Choom Loon Tumko
Tumhare Qadmon Ka Mal-Loon Ghubar Ankhon Me

Tere Qalam Ko Raza Ki Raza Mili Nazmi
Tabhi Zaba(n) Me Asar Hai Nikhar Ankhon Me

Advertisement