چمن چمن کی دلکشی

0
Chaman Chaman ki dilkashi Gulo ki hai wo taazagi
Hai chand jin se shabnami Wo kehkasha ki roshni
Hawaawon ki wo Ragini Fazaawon ki wo nagmagi
Hai kitna pyaara naam bhi
Nabi Nabi Nabi Nabi

Ye aamade bahaar Wo noor ki kataar hai
Fazaa bhi kush gawaar hai Havaa bhi muskbaar hai
Havaa se maine jab kahaa Ye kaun aa gaya bataa
Havaa pukarti chalin
Nabi, Nabi, Nabi, Nabi

Zamee baney zamaan bane Maki bane makah bane
Chuni bane chuna bane Wo waj hai kun fakaa bane
Kahaa hai maine eh khuda Ye kis ke sadqe mein banaa
To rab ne bhi kahaa yahin
Nabi Nabi Nabi Nabi

Wo husne laa zawal hai Wo ishque be misaal hai
Wo charkh ka hilal hai Nabi ka wo bilal hai
Badan sulaghti rait par ke tharthara ute hajar
Zabaan pai taa magar yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi

Chale jo qatl ko umar kahaa kisi ney roke kar
Kahaa chaley aur kidar Manaj kyun hai arsh par
Zarra behen ki lo khabar Fidah hai wo Rasul par
Wo kehrahi hai har ghari
Nabi Nabi Nabi Nabi

Umar chale behen ke ghar Ye dil me soch soch kar
Urayenge hum un ka sar Jo hai nabi key deen par
Sunaa hai jab Qur’an ko Khuda key us bayaan ko
Umar ne bhi kahaan yahi
Nabi Nabi Nabi Nabi

Wo ishque ka usul tha Wo sunniyat ka phool tha
Wo ehsa bsusul tha Key aashique rasul tha
Raza se meine jab kahaa Yeh shaan kis ne kee ataa
Raza ne bhi kahaa yahin
Nabi Nabi Nabi Nabi

Raza ka ye payaam hai wazifa ye tamaam hai
Wahi to nayk naam hai Nabi ka jo gulaam hai
Jo Aashiq e Nabi hua Khuda ka wo wali hua
Wahi hua hai jannnati
Nabi Nabi Nabi Nabi
چمن چمن کی دلکشی گلوں کی ھے وہ تازگی
ھے چاند جن سے شبنمی وہ کہکشاں کی روشنی
ھواؤں کی وہ راگنی
فضاؤں کی وہ نغمگی ھے کتنا پیارا نام بھی
نبی نبی نبی نبی صلی اللہ علیہ وسلم