Back to: Urdu Naat Lyrics
Chaman Chaman ki dilkashi Gulo ki hai wo taazagi Hai chand jin se shabnami Wo kehkasha ki roshni Hawaawon ki wo Ragini Fazaawon ki wo nagmagi Hai kitna pyaara naam bhi Nabi Nabi Nabi Nabi Ye aamade bahaar Wo noor ki kataar hai Fazaa bhi kush gawaar hai Havaa bhi muskbaar hai Havaa se maine jab kahaa Ye kaun aa gaya bataa Havaa pukarti chalin Nabi, Nabi, Nabi, Nabi Zamee baney zamaan bane Maki bane makah bane Chuni bane chuna bane Wo waj hai kun fakaa bane Kahaa hai maine eh khuda Ye kis ke sadqe mein banaa To rab ne bhi kahaa yahin Nabi Nabi Nabi Nabi Wo husne laa zawal hai Wo ishque be misaal hai Wo charkh ka hilal hai Nabi ka wo bilal hai Badan sulaghti rait par ke tharthara ute hajar Zabaan pai taa magar yahi Nabi Nabi Nabi Nabi Chale jo qatl ko umar kahaa kisi ney roke kar Kahaa chaley aur kidar Manaj kyun hai arsh par Zarra behen ki lo khabar Fidah hai wo Rasul par Wo kehrahi hai har ghari Nabi Nabi Nabi Nabi Umar chale behen ke ghar Ye dil me soch soch kar Urayenge hum un ka sar Jo hai nabi key deen par Sunaa hai jab Qur’an ko Khuda key us bayaan ko Umar ne bhi kahaan yahi Nabi Nabi Nabi Nabi Wo ishque ka usul tha Wo sunniyat ka phool tha Wo ehsa bsusul tha Key aashique rasul tha Raza se meine jab kahaa Yeh shaan kis ne kee ataa Raza ne bhi kahaa yahin Nabi Nabi Nabi Nabi Raza ka ye payaam hai wazifa ye tamaam hai Wahi to nayk naam hai Nabi ka jo gulaam hai Jo Aashiq e Nabi hua Khuda ka wo wali hua Wahi hua hai jannnati Nabi Nabi Nabi Nabi |
چمن چمن کی دلکشی گلوں کی ھے وہ تازگی ھے چاند جن سے شبنمی وہ کہکشاں کی روشنی ھواؤں کی وہ راگنی فضاؤں کی وہ نغمگی ھے کتنا پیارا نام بھی نبی نبی نبی نبی صلی اللہ علیہ وسلم |