Back to: Urdu Naat Lyrics
Advertisement
کچھ ایسا کردے میرے کردگار آنکھوں میں کہ جلوہ گر رہے رُخ کی بہار آنکھوں میں وہ نور دے میرے پروردگار آنکھوں کہ جلوہ گر رہے رُخ کی بہار آنکھوں میں بسر کے ساتھ بصیرت بھی خوب روشن ہو لگاؤں خاکِ قدم بار بار آنکھوں میں نظرمیں کیسے سمائیں گے پھول جنت کے کہ بس چکے ہیں مدینے کہ خار آنکھوں میں اُنہیں نہ دیکھا تو کس کام کی ہیں یہ آنکھیں کہ دیکھنے کی ہے ساری بہار آنکھوں میں یہ دل تڑپ کے کہیں آنکھوں میں نہ آجائے کہ پھر رہا ہے کسی کا مزار آنکھوں میں عجب نہیں کہ لکھا لَوح کا نظر آئے جو نقشِ پا کا لگاؤں غبار آنکھوں میں فرشتوں پوچھتے ہو مجھ سے کس کی امت ہو لو دیکھ لو یہ ہے تصویرِ یار آنکھوں میں کرم یہ مجھ پہ کیا ہے میرے تصور نے کہ آج کھینچ دی تصویرِ یار آنکھوں میں پیا ہے جامِ محبت جو آپ نے نوری ہمیشہ اس کا رہے گا خمار آنکھوں میں |
Kuch Aisa Kar de Mere Kirdgaar Aankho me Hamesha Naqsh Rahe Roo-e-Yaar Aankho me Wo Noor De Mere Parwardigar Aankhon Me Ki Jalwagar Rahe Rukh Ki Bahaar Aankhon Me Tumhaare Qadmo pe moti nisaar hone ko Hain be shumaar meri Ashkbaar Aankho me Unhe na dekha to kis kaam ki hai ye Aankhe Ke Dekhne ki he saari Bahaar Ankho me Nazar me Kaise samayenge phool Jannat ke Ke bus chuke hai Madine ke Khaar Aankho me Ajab nahi ke likha Lauh ka Nazar Aaye Jo Naqshe Paa ka laga’o Ghubaar Aankho me Khule hain deeda-e-Ushaaq Khwaabe marg me bhi Ke Us Nigaar ka he intizaar Aankho me Wo Subz Subz Nazar Aa raha he Ghumbad-e-Subz Qaraar Aa gaya yoo be Qaraar Aankho me Wahee mujhe Nazar aaye Jidhar Nigah Karu Unhi Ka Jalwa rahe Aash kaar Aankho me Ye Dil Tarap Ke Kahee Aankho me Na Aajaye Ke Phir Rahaa hai kisi ka Mazaar Aankho me Karam ye mujh pe kiya he mere tassawur ne Ke Aaj khinch di Tasweer-e-Yaar Aankho me Farishto Poochte ho mujh se kis ki Ummat ho Lo Dekh lo ye hai tasweer-e-Yaar Aankho me Ye Kya sawaal he mujh se ke kis ka banda he Me jis ka banda hoo he Noor Baar Aankho me Piyaa he Jaam-e-Muhabbat jo Aap ne NOORI Hamesha Us ka rahega Khumaar Aankho me Fir Aayen Din Mere “AKHTAR” Shabe Huzuri Me Karam Se Jalwa Kare Jab Nigaar Aankhon Me Nigah E Mufti E Aazam Ki Hai Yeh Jalwahgiri Chamak Rahe Hai Jo “AKHTAR” Hazaar Aankhon Me |